saaqī mujhe ḳhumār satā.e hai lā sharāb
martā huuñ tishnagī se ai zālim pilā sharāb
muddat se aarzū hai ḳhudā vo ghaḌī kare
ham tum piyeñ jo mil ke kahīñ ek jā sharāb
mashrab meñ to durust ḳharābātiyoñ ke hai
maz.hab meñ zāhidoñ ke nahīñ gar ravā sharāb
saaqī ke ta.iiñ bulāo uThā do tabīb ko
mastoñ ke hai maraz kī jahāñ meñ davā sharāb
be-rū-e-yār o mutrib o abrū bahār o baaġh
'hātim' ke ta.iiñ kabhī na pilā.e ḳhudā sharāb