na itnā chāhiye ai pur-shikam ḳhvāb
ki tere haq meñ hai zālim sitam ḳhvāb
ḳhayāl-e-māh-rū meñ tā-dam-e-sub.h
na aayā raat mujh ko ek dam ḳhvāb
kaho to kis tarah aave vahāñ niiñd
jahāñ ḳhurshīd-rū ho aa ke ham-ḳhvāb
palak lagte nahīñ kyā uḌ gayā hai
nasīboñ kā tire ai chashm-e-nam ḳhvāb
hameñ behtar hai sonā jāgne se
bhulātā hai hamārā dard-o-ġham ḳhvāb
kahe thā raat ko 'hātim' se 'mazmūñ'
mujhe maḳhmal upar aatā hai kam ḳhvāb