maiñ zaat kā us kī āshnā huuñ
aur us kī sifāt par fidā huuñ
afsos ki aap ko maiñ ab tak
ma.alūm nahīñ kiyā ki kyā huuñ
hai ain-e-zavāl meñ taraqqī
mujh ko ki gul-e-dopahariyā huuñ
hairat hai mujhe yahī ki us bin
kis tarah se ab talak jiyā huuñ
kartā nahīñ maiñ ḳhushāmad-e-ḳhalq
'hātim' huuñ azal se be-riyā huuñ