Shaikh Zahuruddin Hatim

mila diye KHak mein KHuda ne palak ke lagte hi shah lakhon

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
milā diye ḳhaak meñ ḳhudā ne palak ke lagte hī shaah lākhoñ
jinhoñ ke adnā ġhulām rakhte the apne chākar sipāh lākhoñ
namāz o roze zakāt o haj par nahīñ hai mauqūf kuchh ai zāhid
jidhar ko jaave udhar ko haiñge ḳhudā ke milne ke raah lākhoñ
sunā hai maiñ ne ki tū ne merā kiyā hai shikva kisī se zālim
tire sitam aur mirī vafā ke jahāñ meñ haiñge gavāh lākhoñ
ajab tamāshā hai kis se kahiye asar nahīñ sañg-dil ke dil meñ
karūñ huuñ yaaro maiñ ek dam meñ hazāroñ naale va aah lākhoñ
kare hai fariyād ek aalam galī meñ us kī hai shor-e-mahshar
jo ek ho.e to kiije insāf us ke haiñ dād-ḳhvāh lākhoñ
karoḌ baarī meñ sau tarah se kahā ki khā aur khilā na maanā
koī to levegā chhīn tujh se tū joḌ ḳhissat-panāh lākhoñ
ye misra-e-soz sun ke 'hātim' kahe hai nāseh se ai azīzo
umīd-e-baḳhshish hai jab se ham ko kiye haiñ ham ne gunāh lākhoñ
Top Urdushayar.com