Shaikh Zahuruddin Hatim

gazak ki is qadar ai mast tujhko kya shitabi hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
gazak kī is qadar ai mast tujh ko kyā shitābī hai
hamārā bhī dil sad-laḳht-e-dūkān-e-kabābī hai
nahīñ juz qurs mahr-o-māh kuchh gardūñ ke matbaḳh meñ
so vo bhī ek nān-e-soḳhta aur ek aabī hai
chhuḌā mashshāta zulf-e-yār ko shāne ke nīche se
ki us kī kashmakash se dil ko mere pech-o-tābī hai
badan par kuchh mire zāhir nahīñ aur dil meñ sozish hai
ḳhudā jaane ye kis ne raakh andar aag daabī hai
shikast aatī hai is meñ mauj-e-mai se dekhiyo saaqī
bachānā Thes se shīsha mire dil kā habābī hai
rahe hai kaam ham ko roz-o-shab qur.ān o masjid se
ki abrū us kī hai mehrāb aur chehrā kitābī hai
kisū ke ablaq-e-ayyām chaḌhne kā nahīñ raazī
azal se 'hātim' is tausan meñ aib-e-bad-rikābī hai
Top Urdushayar.com