dekhne se tire jī paatā huuñ
aañkh ke pherte mar jaatā huuñ
tere hoñToñ ke ta.iiñ paan se laal
dekh kar ḳhūn-e-jigar khātā huuñ
aarzū meñ tirī yak muddat se
apne dil ke ta.iiñ tarsātā huuñ
chaav jo dil meñ bhare haiñ pyāre
tujh se kahtā huā sharmātā huuñ
bhūle-bisre jo kabhī vahshī sā
tere kūche kī taraf aatā huuñ
dekh darvāze kī sūrat tere
naqsh-e-dīvār sā ho jaatā huuñ
tū jo nikle hai badaltā āñkheñ
us ghaḌī apnā kiyā paatā huuñ
dil-e-ġham-ghīñ ke ta.iiñ murdā sā
god meñ apne uThā laatā huuñ
aañsū pūchhūñ huuñ dilāsā de de
mannateñ kar ke maiñ samjhātā huuñ
vo nahīñ māntā juuñ juuñ 'hātim'
tuuñ tuuñ jiine se maiñ ghabrātā huuñ