abr meñ yād-e-yār aave hai
girya be-iḳhtiyār aave hai
baaġh se gul-izār aave hai
bū-e-gul par savār aave hai
ai ḳhizāñ bhaag jā chaman se shitāb
varna fauj-e-bahār aave hai
ai sabā kis taraf ko guzrī thī
tujh se bū-e-nigār aave hai
mujh havā-ḳhvāh se gurez so kyuuñ
tujh ko kyā mujh se aar aave hai
sun ke kahne lage kisī ke koī
kaahe ko baar baar aave hai
is qadar bas-ki roz milne se
ḳhātiroñ meñ ġhubār aave hai
maiñ to kyā 'hātim' aise bad-ḳhū se
kis ko sohbat barār aave hai