Shaikh Zahuruddin Hatim

howe wo shoKH-chashm agar mujhse chaar chashm

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
hove vo shoḳh-chashm agar mujh se chaar chashm
qurbāñ karūñ maiñ chashm par us ke hazār chashm
muddat huī palak se palak āshnā nahīñ
kyā is se ab ziyāda kare intizār chashm
jis rañg se ho abr safed o siyāh o surḳh
is tarah kar rahe haiñ tumhāre bahār chashm
sote se naam sun ke mirā yaar jaag uThā
baḳhtoñ ke khul ga.e mire be-iḳhtiyār chashm
jaage ho raat yā ye nashe kā utaar hai
jo sub.h kar rahe haiñ tumhāre ḳhumār chashm
zālim ḳhudā ke vāste 'hātim' ko muñh dikhā
muddat se dekhne ke haiñ ummīd-vār chashm
Top Urdushayar.com