ek muddat se talabgār huuñ kin kā in kā
tishna-e-hasrat-e-dīdār huuñ kin kā in kā
jaan ko bech ke ye naqd-e-dil ab laayā huuñ
sab se pahle maiñ ḳharīdār huuñ kin kā in kā
imtidād is mire bīmār kā mat pūchh tabīb
roz-e-mīsāq se bīmār huuñ kin kā in kā
muḳhlisī qaid se mushkil hai mujhe tā-dam-e-marg
dām-e-ulfat meñ giraftār huuñ kin kā in kā
būd-o-bāsh apnā batā.ūñ maiñ tumheñ kyā yaaro
sākin-e-sāya-e-dār huuñ kin kā in kā
hai bajā faḳhr karūñ apnī agar taalā par
kafsh-bardāroñ kā sardār huuñ kin kā in kā
gāliyāñ tujh ko jo dete haiñ ye 'hātim' haiñ kaun
kuchh na pūchho meñ gunahgār huuñ kin kā in kā
to sazā-vār-e-sazā kis kā huā hai 'hātim'
sāhib-e-man maiñ gunahgār huuñ kin kā in kā