duniyā ḳhayāl-o-ḳhvāb hai merī nigāh meñ
ābād sab ḳharāb hai merī nigāh meñ
bahtī phire hai umar talātum meñ dahr ke
insān juuñ hubāb hai merī nigāh meñ
maiñ bahr-e-ġham ko dekh liyā nā-ḳhudā ba-rū
kashtī na ho pa aab hai merī nigāh meñ
chhūTā huuñ jab se shaiḳh ta.ayyun kī qaid se
har zarra āftāb hai merī nigāh meñ
tum kaif meñ sharāb ke kahte ho jis ko dil
bhūnā huā kabāb hai merī nigāh meñ
kyuuñ khīñchte ho teġh kamar se che-fā.eda
muddat se is kī aab hai merī nigāh meñ
'hātim' tū is jahān kī lazzāt par na bhuul
ye pā-e-dar-rikāb hai merī nigāh meñ