Shaikh Zahuruddin Hatim

kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
kis sitamgar kā gunāhgār huuñ allāh allāh
kis ke tīroñ se dil-afgār huuñ allāh allāh
us ke hāthoñ se na jiitā huuñ na martā huuñ maiñ
kis musībat meñ giraftār huuñ allāh allāh
ḳhizr ab duur kar aage se mire āb-e-hayāt
kis ke bose kā talabgār huuñ allāh allāh
kyuuñ na āñkhoñ meñ rakhe mujh ko zuleḳhā bhī aziiz
kaise yūsuf kā ḳharīdār huuñ allāh allāh
namak-e-husn se us lab ke maze lūTūñ huuñ
kis namak-dāñ kā namak-ḳhvār huuñ allāh allāh
nargis ab ham se na kar dāva-e-ham-chashmī tū
kis kī nargis kā maiñ bīmār huuñ allāh allāh
itnā kahtā bhī nahīñ kaun ye chillātā hai
kab se nālāñ pas-e-dīvār huuñ allāh allāh
ḳhvāb meñ yaar ne aa mujh ko jagāyā 'hātim'
kis qadar tāl.e-e-bedār huuñ allāh allāh
Top Urdushayar.com