Shaikh Zahuruddin Hatim

tu dekh use sab ja aankhon ke uTha parde

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
tū dekh use sab jā āñkhoñ ke uThā parde
mānind suvaidā ke dil biich use ghar de
aalam ke muraqqe meñ tasvīr usī kī hai
sab husn yahāñ yaaro us husn ke haiñ garde
sayyād kā sharminda huuñ be-par-o-bālī se
uḌ kar abhī jā pahuñchūñ jo mujh ko ḳhudā par de
saaqī tujhe kam-zarfī mastoñ se nahīñ lāzim
tarsā na mujhe kāfir sāġhar ke ta.iiñ bhar de
bazm-e-dil-e-mushtāqāñ juuñ shām-e-ġharībāñ hai
yak jalva meñ tū raushan aa sham-e-sifat kar de
ham arz kiyā us kī ḳhidmat meñ ki ai sāhab
itne tire bandoñ meñ ek ham bhī haiñ nau-varde
daulat se tirī sab kuchh ham paas muhayyā hai
lab ḳhushk o jigar biryāñ chashm-e-tar o dil sar de
'hātim' vo lagā kahne ġhusse se ki chal jhūThe
bandā maiñ use jānūñ jo pahle qadam sar de
hushyār karūñ 'hātim' mastoñ ko nigāhoñ meñ
qatra mai-e-vahdat se jo sāqī-e-kausar de
Top Urdushayar.com