Shaikh Zahuruddin Hatim

ishq ne chuTki si li phir aa ke meri jaan ke bich

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ishq ne chuTkī sī lī phir aa ke merī jaañ ke biich
aag sī kuchh lag ga.ī hai sīna-e-bariyāñ ke biich
ahl-e-ma.ānī juz na būjhegā koī is ramz ko
ham ne paayā hai ḳhudā ko sūrat-e-insāñ ke biich
is sabab maiñ jañg shāne se karūñ huuñ baar baar
dil huā hai gum mirā us kākul-e-pechāñ ke biich
zulf o chashm o ḳhaal o ḳhat chāroñ haiñ dushman diin ke
haq rakkhe īmāñ salāmat aise kufristāñ ke biich
naqd-e-dil khoyā hai ham ne jaan kar is raah meñ
fil-haqīqat āshiqoñ ko suud hai nuqsāñ ke biich
gar adū merī badī kartā hai ḳhaas o aam meñ
maiñ use rusvā karūñgā bāñdh kar dīvāñ ke biich
raat din jaarī hai aalam meñ mirā faiz-e-suḳhan
go ki huuñ muhtāj par 'hātim' huuñ hindostāñ ke biich
Top Urdushayar.com