Shaikh Zahuruddin Hatim

dekhna uski tajalli ka jise manzur hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
dekhnā us kī tajallī kā jise manzūr hai
sañg-reza bhī nazar meñ us kī koh-e-tūr hai
ham se ham-chashmī anal-haq ko kahāñ maqdūr hai
ashk har yak-dār mizhgāñ par mire mansūr hai
nahno-aqrab kī nahīñ hai ramz se tū āshnā
varna vo nazdīk hai tū aap us se duur hai
hijr kī shab ko agar kaaTe to phir hai roz-e-vasl
niish ke parde meñ dekhā nosh bhī mastūr hai
kyā huā vaa.iz kare hai shor juuñ tabl-e-tahī
vo sar-e-be-maġhz goyā kāñsa-e-tambūr hai
aaj hameñ aur hī nazar aatā hai kuchh sohbat kā rañg
bazm hai maḳhmūr aur saaqī nashe meñ chuur hai
roz o shab rahtā hai terī yaad meñ āshiq kā dil
go muqassir hai tirī ḳhidmat se go ma.azūr hai
aarzū hai raat añdherī meñ ki aave māh-rū
jis ke aage raushnā.ī sham.a kī be-nūr hai
ḳhāksāroñ ko kabhū laatā nahīñ ḳhātir meñ vo
husn kī daulat par apne is qadar maġhrūr hai
ishq hai dārushshifā aur dard hai is kā tabīb
jo nahīñ is maraz kā tālib sadā ranjūr hai
ab talak 'hātim' se to vāqif nahīñ afsos yaar
shā.erī ke fan meñ vo āfāq meñ mash.hūr hai
Top Urdushayar.com