baaġh meñ tū kabhū jo hañstā hai
ġhuncha-e-dil mirā bikastā hai
are be-mehr mujh ko rotā chhoḌ
kahāñ jaatā hai meñh barastā hai
tere māroñ huoñ kī sūrat dekh
merā marne ko jī tarastā hai
terī tarvār se koī na bachā
ab kamar kis upar tū kastā hai
kyuuñ mozāhim hai mere aane se
kui tirā ghar nahīñ ye rastā hai
merī fariyād koī nahīñ suntā
koī is shahr meñ bhī bastā hai
'hātim' us zulf kī taraf mat dekh
jaan kar kyuuñ balā meñ phañstā hai