Shaikh Zahuruddin Hatim

turfa majun hai hamara yar

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
turfa ma.ajūn hai hamārā yaar
ġhair se ham-kanār ham se kanār
ham kaheñ baaġh chal to haañ na kahe
ġhair ke saath roz sair o shikār
ham ko majlis meñ dekh chup ho jaa.e
ġhair se Tok kar kare guftār
ham ko dekhe kahīñ to āñkheñ churā.e
ġhair ko dekh kar aap se ho do-chār
ġhair se saaf siina ho ke mile
ham se dil meñ rakhe hamesha ġhubār
ġhair jaur-o-jafā o be-mehrī
ham se is kā nahīñ hai aur shi.ār
ġhair kī baat sun ke ḳhush hove
ham se har baat meñ kare takrār
minnat-o-ijz-o-inkisār-o-niyāz
karte karte hue bahut lāchār
vo kisī tarah āshnā hī nahīñ
imtihāñ ham kiyā hai chandeñ yaar
zarā bhī kaan dhar kabhū na sune
dard-e-dil ham agar kareñ iz.hār
jaan aur maal de chukeñ us ko
dil se jaane hameñ agar ġham-ḳhvār
jo rahe ham se roz begāna
sohbat aise se kaise ho barrār
kar ilāhī tū mehrbāñ us ko
jis ke pīchhe hue haiñ zār-o-nizār
ġharaz ab shikva kab talak kiije
chup hī rahnā hai 'hātim' ab darkār
Top Urdushayar.com