Shaikh Zahuruddin Hatim

teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
tirī jo zulf kā aayā ḳhayāl āñkhoñ meñ
vahīñ khaTakne lagā baal baal āñkhoñ meñ
tirī jo chashm ke goshe meñ til hai aisā til
nazar paḌā hai kahīñ ḳhaal ḳhaal āñkhoñ meñ
nashe meñ surḳh haiñ aisī tarah se tere chashm
goyā khilā hai kañval laal laal āñkhoñ meñ
vo ḳhush-nigah tirī 'hātim' nazar paḌā hai aaj
chhupā le us ke ta.iiñ haal haal āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com