maiñ apne dast par shab ḳhvāb meñ dekhā ki aḳhgar thā
sahar ko khul ga.ī jab aañkh merā haath dil par thā
na thī tā-sub.h kuchh hājat charāg o sham.a o mish.al kī
hamārī bazm meñ shab jalva-gar vo māh-e-paikar thā
tirī ik jumbish-e-abrū se aalam ho gayā zaa.e
nazar kar jis taraf dekhā to jo dhaḌ thā so be-sar thā
tū is raftār o qad se jis taraf guzrā mire sāhib
tire faiz-e-qadam se har qadam sarv o sanobar thā
na thī parvāz kī tāqat sar-e-dīvār-e-gulshan tak
ki jo taa.ir thā so sayyād ke hāthoñ se be-par thā
chalā jaatā thā 'hātim' aaj kuchh vāhī-tabāhī sā
jo dekhā haath meñ us ke tire shikve kā daftar thā