mujhe kyā dekh kar tū tak rahā hai
tire hāthoñ kaleja pak rahā hai
jahāñ kyūñkar na ho nazroñ meñ tārīk
tirā muñh zulf nīche Dhak rahā hai
tumhārī nā-qadar-dānī kā afsos
hamāre jī meñ marte tak rahā hai
ḳhudā ke vāste us se na bolo
nashe kī lahr meñ kuchh bak rahā hai
phirā ab tak nahīñ 'hātim' kā qāsid
ḳhudāyā raah meñ kyā thak rahā hai