Shaikh Zahuruddin Hatim

jo mere ham-asr ham-sohbat the so sab mar gae

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
jo mire ham-asr ham-sohbat the so sab mar ga.e
apnī apnī umar kā paimāna har yak bhar ga.e
pūchhte kyā ho gunāhoñ ke giraftāroñ kā haal
ḳhushk zāhid the so is jāgah se dāman tar ga.e
haath se sayyād ke sābit na chhūTā ek said
bāl-o-par rakhte the so be-bāl aur be-par ga.e
ye qimār-e-ishq hai ai bul-havas baazī na jaan
sar ga.e bahutoñ ke aur bahutoñ ke is meñ ghar ga.e
ham ne hastī aur adam kī aa ke kī hai ḳhuub sair
rasm o aa.iiñ dekh in logoñ kā az bas Dar ga.e
ek jo aayā use le god meñ dī ghar meñ jā
dūsre ko kaaḌh kar ghar se zamīñ meñ dhar ga.e
tum kaho apnī miyāñ 'hātim' ki ho kis fikr kī
aur jo aa.e jane jaisī banī so kar ga.e
Top Urdushayar.com