Shaikh Zahuruddin Hatim

tha pas abhi kidhar gaya dil

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
thā paas abhī kidhar gayā dil
ye ḳhāna-ḳharāb ghar gayā dil
ḳhvār aisā huā butāñ ke pīchhe
nazroñ se mirī utar gayā dil
shabnam kī misāl rote rote
us baaġh se chashm-e-tar gayā dil
juuñ ḳhizr rahā hamesha tanhā
aise jiine se bhar gayā dil
kyā pūchhte ho ḳhabar tum us kī
yak umr huī ki mar gayā dil
marte marte bhī ye javāñ-marg
sūrāḳh jigar meñ kar gayā dil
thā dushman-e-jāñ baġhal meñ 'hātim'
jaane de balā se gar gayā dil
Top Urdushayar.com