jalva-gar fānūs-e-tan meñ hai hamārā man charāġh
be-batī aur tel ye hai roz o shab raushan charāġh
tā-abad is ko nahīñ bād-e-muḳhālif se ḳhatar
hai hamāre haath par be-parda-e-dāman charāġh
aaj kī shab lutf hai sair-e-chaman ai andalīb
roġhan-e-gul se huā hai har gul-e-gulshan charāġh
Dar nahīñ majnūñ ko phirne kā shab-e-hijrāñ ke biich
haq meñ us ke dīda-e-āhū hue ban ban charāġh
yak nazar us kī dil-e-mushtāq hai jin ne ki aaj
ek jalve meñ kiyā hai ḳhāna-e-darpan charāġh
jab se hai raushan diloñ ke dil par 'hātim' kī nigāh
tab se raushan hai gā us ke dil kā be-roġhan charāġh