mai ho abr o havā nahīñ to na ho
dard ho gar davā nahīñ to na ho
ham to haiñ āshnā tire zālim
tū agar āshnā nahīñ to na ho
dil hai vābasta tere dāman se
dast merā rasā nahīñ to na ho
ham to terī jafā ke bande haiñ
tujh meñ rasm-e-vafā nahīñ to na ho
āstāñ par to gir rahe haiñ agar
terī majlis meñ jā nahīñ to na ho
ham to haiñ saaf, bad-gumāñ mere
tere dil meñ safā nahīñ to na ho
dil ko iksīr haigī terī nigāh
havas-e-kīmiyā nahīñ to na ho
ham to hāshā nahīñ kisī se bure
koī ham se bhalā nahīñ to na ho
tālib-e-vasl kab talak rahiye
ho to ho jaa.e yā nahīñ to na ho
'hātim' ab kis kī mujh ko parvā hai
koī mirā juz ḳhudā nahīñ to na ho