Waliullah Sarhindi Ishtiyaq

KHayal dil ko hai us gul se aashnai ka

Waliullah Sarhindi Ishtiyaq

ḳhayāl dil ko hai us gul se āshnā.ī kā
nahīñ sabā ko hai da.avā jahāñ-rasā.ī kā
kahīñ vo kasrat-e-ushshāq se ghamanD meñ aa
Darūñ huuñ maiñ ki na da.avā kare ḳhudā.ī kā
mujhe to Dho ke thā zāhid par ik nigāh se aaj
ġhurūr kyā huā vo terī pārsā.ī kā
jahāñ meñ dil na lagāne kā leve phir koī naam
bayāñ karūñ maiñ agar terī bevafā.ī kā
na chhoḌā maar bhī khā kar guzar galī kā tirī
raqīb ko mire da.avā hai be-hayā.ī kā
nahīñ ḳhayāl meñ laate vo saltanat jam kī
ġhurūr hai jinheñ dar kī tire gadā.ī kā
jafā-e-yār se mat 'ishtiyāq' pher ke muñh
ḳhayāl kiijo kahīñ aur jubba-sā.ī kā
Top Urdushayar.com