Karamat Ali Shaheedi

ji chahega jis ko use chaha na karenge

Karamat Ali Shaheedi

jī chāhegā jis ko use chāhā na kareñge
ham ishq o havas ko kabhī yakjā na kareñge
ai kaash chhuTeñ ahd-shikan ban ke jahāñ meñ
baaz aa.e vafādārī kā da.avā na kareñge
go husn-parastī na ho ḳhātir se farāmosh
ḳhush-qāmatoñ kā yaad sarāpā na kareñge
nargis kī shab-e-tīra meñ lūTeñge bahāreñ
par surmagīñ āñkhoñ kī tamannā na kareñge
bahlā.eñge sair-e-gul-o-shabnam se dil apnā
us āriz-e-gul-rañg kī parvā na kareñge
añgāroñ pe loTeñge par un shola-ruḳhoñ ke
nazzāra se ham aañkh bhī señkā na kareñge
ismat kā unheñ ḳhauf hai taqvā kā hameñ paas
ne kī hai kabhī ḳhvāhish-e-bejā na kareñge
bakne ke 'shahīdī' ke burā māniyo mat jaan
haiñ āshiq-e-sādiq kabhī aisā na kareñge
Top Urdushayar.com