manzil safar-e-ishq kī zinhār na TuuTe
jab tak kamar-e-qāfila-e-sālār na TuuTe
is pand se dil nāseh-e-dīñ-dār na TuuTe
but toḌne meñ ka.abe kī dīvār na TuuTe
be-fikr rahe banda-e-naqāb-e-ruḳh-e-jānāñ
ham se kabhī qufl-e-dar-e-gulzār na TuuTe
jab tak na gavāra ho tujhe naza.a kī talḳhī
parhez tirā ai dil-e-bīmār na TuuTe
har roz ho jab saikḌoñ ushshāq kā chaurañg
ai shoḳh kahāñ tak tirī talvār na TuuTe
sar paTkūñ jo dīvār se kahtā hai vo zālim
bas bas mire ghar kī kahīñ dīvār na TuuTe
bejā hai tirī garmī-e-bāzār kā shikva
kyuuñ jins na.ī pā ke ḳharīdār na TuuTe
qismat meñ ho go manzil-e-maqsad kā pahuñchnā
par ābla-e-pā meñ sar-e-ḳhār na TuuTe
āsāñ hai 'shahīdī' kī agar dil-shikanī ho
par shart ye hai ḳhātir-e-aġhyār na TuuTe