mashām-e-bulubul meñ rashk-e-gul kī hunūz bū bhī nahīñ ga.ī hai
abhī vo nām-e-ḳhudā hai ġhuncha nasīm chhū bhī nahīñ ga.ī hai
na ishq surme kā ne misī kā na shauq ġhamze kā ne hañsī kā
gumāñ ho gar tum ko aarsī kā so rū-ba-rū bhī nahīñ ga.ī hai
balā ko us kī ḳhabar hai kahte haiñ kis ko ma.ashūq kyā hai āshiq
hunūz kānoñ meñ us parī ke ye guftugū bhī nahīñ ga.ī hai
yaqīñ nahīñ mujh ko qais-e-giryāñ ke haal se us ko āgahī ho
nikal ke matlab se apne lailā kinār-e-jū bhī nahīñ ga.ī hai
'shahīdī' itnī gumāñ-parastī nashe meñ sab bhuul baiThe hastī
huī hai us se hī tum ko mastī jo tā-gulū bhī nahīñ ga.ī hai