hazār martaba dekhā sitam judā.ī kā
hanūz hausla baaqī hai āshnā.ī kā
parī uThī mire pahlū se bārhā nākām
farefta huuñ tirī tarz-e-dilrubā.ī kā
mujhe azāb-e-jahannam ki but-parast huuñ maiñ
vo but bahisht meñ da.avā jise ḳhudā.ī kā
fazā-e-bāġh se hai gosha-e-qafas ḳhush-tar
gar apne dil meñ na ho daġhdaġha rihā.ī kā
adab na vādī-e-vahshat ke mujh se tark hue
junūñ meñ hosh rahā hai barhana-pā.ī kā
nigāh ḳhanda taġhāful itaab kohna hue
nikāl tarz nayā koī dilrubā.ī kā
butoñ kā sajda mirī sarnavisht meñ kab thā
ki azm ka.abe ke dar par ho jubba-sā.ī kā
uchak rahā hai khaḌā bām-e-arsh par kam-baḳht
qalaq hai mujh ko 'shahīdī' kī nā-rasā.ī kā