Abdul Ghafoor Nassakh

naqsh-e-dil hai sitam judai ka

Abdul Ghafoor Nassakh

Faridpur, Uttar pradesh, India

1833-1889
naqsh-e-dil hai sitam judā.ī kā
shauq phir kis ko āshnā.ī kā
chakhte haiñ ab mazā judā.ī kā
ye natīja hai āshnā.ī kā
un ke dil kī kudūrat aur baḌhī
zikr kījiye agar safā.ī kā
dekh to sañg-e-āstāñ pe tire
hai nishāñ kis kī jab.ha-sā.ī kā
tere dar kā gadā jo hai ai dost
aish kartā hai bādshā.ī kā
duḳhtar-e-raz ne kar diyā bātil
mujh ko daavā thā pārsā.ī kā
karte haiñ ahl-e-āsmāñ charchā
mere nāloñ kī nā-rasā.ī kā
kaaT Daalo agar zabāñ pe mire
harf aayā ho āshnā.ī kā
kar ke sadqe na chhoḌ deñ 'nassāḳh'
dil ko dhaḌkā hai kyuuñ rihā.ī kā
Top Urdushayar.com