Abdul Ghafoor Nassakh

piri mein shauq hausla-farsa nahin raha

Abdul Ghafoor Nassakh

Faridpur, Uttar pradesh, India

1833-1889
piirī meñ shauq hausla-farsā nahīñ rahā
vo dil nahīñ rahā vo zamāna nahīñ rahā
kyā zikr-e-mehr us kī nazar meñ hai dil vo ḳhvār
shāyān-e-jaur-o-zulm dil-ārā nahīñ rahā
jhagḌā miTā diyā but-e-kāfir ne diin kā
ab kuchh ḳhilāf-e-momin-o-tarsā nahīñ rahā
ushshāq-o-bul-havas meñ nahīñ karte vo tamīz
vaañ imtiyāz-e-nek-o-bad aslā nahīñ rahā
kyuuñ bahr-e-sair aane lage gul-ruḳhān-e-dahr
piirī meñ dil sazā-e-tamāshā nahīñ rahā
kah do ki qabr-e-nāsh bhī kī us kī pā.emāl
nām-o-nishān-e-āshiq-e-rusvā nahīñ rahā
ab tak yahāñ hai ijz o niyāz o vafā kī dhuum
vaañ lutf o iltifāt o madārā nahīñ rahā
kashtī baġhair dasht-navardī ho kis tarah
ashkoñ se bahr ho gayā sahrā nahīñ rahā
mastī meñ raat vo na khule mujh se ham-nashīñ
kuchh e'tibār-e-nashsha-e-sahbā nahīñ rahā
kyuuñ jaa.eñ phir ke kaabe se 'nassāḳh' dair ko
vo sar nahīñ rahā vo saudā nahīñ rahā
Top Urdushayar.com