Azad Gulati

raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
raushnī phailī to sab kā rañg kaalā ho gayā
kuchh diye aise jale har-sū añdherā ho gayā
jis ne merā saath chhoḌā aur kisī kā ho gayā
sach to ye hai mujh se bhī baḌh kar vo tanhā ho gayā
vaqt kā ye moḌ kaisā hai ki tujh se mil ke bhī
tujh ko kho dene kā ġham kuchh aur gahrā ho gayā
ham ne tanhā.ī kī chādar taan lī aur so ga.e
log jab kahne lage uTTho saverā ho gayā
Dūbtā sūraj huuñ maiñ vo merā saayā dekh kar
sochtā ye hai qad us kā mujh se lambā ho gayā
chand lamhe the jo barsoñ ba.ad tak biite nahīñ
kuchh baras vo bhī the jin kā ek lamha ho gayā
jab zabāñ kholī to sab ko niiñd sī aane lagī
chup hue to yuuñ lagā har shaḳhs bahrā ho gayā
saath us kā chhoḌ kar aa.e to ye aalam rahā
ham ne jis chehre ko dekhā us kā chehra ho gayā
is ta.alluq ko bhalā 'āzād' maiñ kyā naam duuñ
vo kisī kā ho ke bhī kuchh aur merā ho gayā
Top Urdushayar.com