Azad Gulati

har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
har ik shikast ko ai kaash is tarah maiñ sahūñ
fuzūñ ho aur bhī dil meñ tirī talab kā fusūñ
tumhāre jism kī jannat to mil ga.ī hai magar
maiñ apnī ruuh kī dozaḳh kā kyā ilaaj karūñ
hañsā huuñ aaj to majbūr thā ki tere huzūr
mujhe ye Dar thā agar chup rahā to ro na paḌūñ
tamām umr na bhaTke kahīñ tū merī tarah
huuñ kashmakash meñ jo kahnā hai vo kahūñ na kahūñ
na ab pukār mujhe muddatoñ kī duurī se
tire qarīb nahīñ huuñ ki terī baat sunūñ
tirī talāsh ko niklūñgā is se pahle magar
maiñ terī yaad ke sahrā meñ ḳhud ko DhūñD to luuñ
vo dekh le to na ro.e binā rahe 'āzād'
maiñ sochtā huuñ ki ik baar ḳhud pe yuuñ bhī hañsūñ
Top Urdushayar.com