ḳhud hamīñ ko rāhatoñ ke kaif kā chaskā na thā
zindagī kā zahr varna is qadar kaḌvā na thā
us ne tanhā.ī se ghabrā kar pukārā to nahīñ
is se pahle to mirā dil is tarah dhaḌkā na thā
haa.e vo aalam ki un kī bazm meñ bhī baiTh kar
maiñ yahī sochā kiyā maiñ to kabhī tanhā na thā
us ke apne haath ruḳhsāroñ ko sahlāne lage
go ba-zāhir merī bābat us ne kuchh sochā na thā
har taraf khiltī rahīñ kaliyāñ nasīm-e-sub.h se
apnī qismat meñ sabā kā ek bhī jhoñkā na thā
zindagī ai zindagī!! aa do ghaḌī mil kar raheñ
tujh se merā umr-bhar kā to koī jhagḌā na thā
sochte haiñ ab use 'āzād' ham kyā naam deñ
umar kā vo daur dil meñ jab koī saudā na thā