hamārī aañkh meñ Thahrā huā samundar thā
magar vo kyā thā jo sahrā-e-dil ke andar thā
usī ko zulf meñ Tāñke ye aarzū kyūñ-kar
vo phuul jo ki tirī dastaras se bāhar thā
vo vaqt aa.egā jab ḳhud tumhī ye sochogī
milā na hotā agar tujh se maiñ to behtar thā
har ek añg labālab bharā ho jaise jaam
tumhārā jism thā yā mai-kade kā manzar thā
use bhī jaate hue tum ne mujh se chhīn liyā
tumhārā ġham to mirī aarzū kā zevar thā
bahut qarīb se dekhā thā us ko ai 'āzād'
vo aarzū kā mirī ik hasīn paikar thā