Azad Gulati

go mera sath meri apni nazar ne na diya

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
go mirā saath mirī apnī nazar ne na diyā
dasht-e-tanhā.ī meñ ai dil tujhe Darne na diyā
zindagī kitnā tirī baat kā hai paas hameñ
tū ne jo zaḳhm diyā ham ne vo bharne na diyā
ek vo haiñ ki jinheñ apnī ḳhushī le Duubī
ek ham haiñ ki jinheñ ġham ne ubharne na diyā
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhī guzre the
us pe tā-umr kisī ko bhī guzarne na diyā
ham to har haal sañvārā kiye hālāt 'āzād'
ham ko hālāt ne har-chand sañvarne na diyā
Top Urdushayar.com