Azad Gulati

karb hare mausam ka tab tak sahna paDta hai

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
karb hare mausam kā tab tak sahnā paḌtā hai
patjhaḌ meñ to paat ko āḳhir jhaḌnā paḌtā hai
kab tak auroñ ke sāñche meñ Dhalte jā.eñge
kisī jagah to ham ko āḳhir uḌnā paḌtā hai
sirf añdhere hī se diye kī jañg nahīñ hotī
tez havāoñ se bhī is ko laḌnā paḌtā hai
sahī-salāmat aage baḌhte rahne kī ḳhātir
kabhī kabhī to ḳhud bhī pīchhe haTnā paḌtā hai
sher kaheñ to aql-o-junūñ kī sarhad par ruk kar
lafzoñ meñ jazboñ ke nagoñ ko jaḌnā paḌtā hai
jīvan jiinā itnā bhī āsān nahīñ 'āzād'
saañs saañs meñ reza reza kaTnā paḌtā hai
Top Urdushayar.com