sāhil pe ruk ke sū-e-samundar na dekhiye
bāhar se apne aap kā manzar na dekhiye
apne vajūd hī pe na guzrīñ ka.ī shokūk
saa.e ko apne qad ke barābar na dekhiye
jaage to mahz ret hī pā.eñge har taraf
gar ho sake to ḳhvāb meñ sāgar na dekhiye
apne hī sar ke zaḳhm kā kuchh kījiye ilaaj
aayā hai kis taraf se ye patthar na dekhiye
yakjā na karne aa.egā koī tamām umr
ḳhush-fahmiyoñ se ḳhud meñ bikhar kar na dekhiye
phir yuuñ na ho ki apnā badan ajnabī lage
behtar hai is ke ḳhol se bāhar na dekhiye
'āzād' jī Darā.egā parchhā.iyoñ kā ḳhauf
vīrāñ nazar se koī bhī manzar na dekhiye