ḳhalā-e-zehn ke gumbad meñ gūñjtā huuñ maiñ
ḳhud apne ahd-e-guzishta kī ik sadā huuñ maiñ
sameT laatā huuñ motī tumhārī yādoñ ke
jo ḳhalvatoñ ke samundar meñ Dūbtā huuñ maiñ
tumheñ bhī mujh meñ na shāyad vo pahlī baat mile
ḳhud apne vāste ab koī dūsrā huuñ maiñ
jo de sako to ḳhunuk saa.e do mohabbat ke
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā meñ jal rahā huuñ maiñ
vo ḳhud mujhī meñ kahīñ kho gayā na ho 'āzād'
jise ḳhalā-e-zamāna meñ DhūñDtā huuñ maiñ