Azad Gulati

main bichhaD kar tujhse teri ruh ke paikar mein hun

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
maiñ bichhaḌ kar tujh se terī ruuh ke paikar meñ huuñ
tū mirī tasvīr hai maiñ tere pas-manzar meñ huuñ
apnā markaz DhūñDtā huuñ dā.eroñ meñ kho ke maiñ
kitne janmoñ se maiñ ik mahdūd se chakkar meñ huuñ
ḳhud hī dastak de rahā huuñ apne dar par der se
ghar se bāhar rah ke bhī jaise maiñ apne ghar meñ huuñ
maiñ vo aazar huuñ jise barsoñ rahī apnī talāsh
ḳhud hī mūrat ban ke poshīda har ik patthar meñ huuñ
dekhne vaale mujhe merī nazar se dekh le
maiñ tirī nazroñ meñ huuñ aur maiñ hī har manzar meñ huuñ
gūñjtā huuñ apne andar aur kho jaatā huuñ maiñ
ik sadā ban kar anā ke gumbad-e-be-dar meñ huuñ
maiñ kabhī ik jhiil thā phaile hue sahrāoñ meñ
aaj maiñ ik pyaas kā sahrā huuñ aur sāgar meñ huuñ
maut ko 'āzād' ye irfān denā hai mujhe
kāTtī hai mujh ko jis se vo maiñ us ḳhanjar meñ huuñ
Top Urdushayar.com