Azad Gulati

lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
lamha lamha ik na.ī sa.ī-e-baqā kartī huī
kaT rahī hai zindagī ḳhud ko fanā kartī huī
terī chup hai yā mire andar machā kohrām hai
koī shai to hai zabāñ ko be-navā kartī huī
apne andar reza reza TuuT kar bikhrā huuñ maiñ
hai ye kyā shai chor dil kā aa.inā kartī huī
kisht-e-jāñ se din ko kaTtī hai na.e zaḳhmoñ kī fasl
raat aatī hai inheñ phir se harā kartī huī
mere hone se na hone kā sabab paidā huā
mujh ko hastī hī thī ḳhud mujh se judā kartī huī
maut to 'āzād' hai āzādiyoñ kā ik jahāñ
zindagī hai har nafas ḳhud ko rihā kartī huī
Top Urdushayar.com