Azad Gulati

jo gham mein jalte rahe umr-bhar diya ban kar

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
jo ġham meñ jalte rahe umr-bhar diyā ban kar
bujhā ga.ī hai unheñ maut ab havā ban kar
vo ḳhāmushī jo tirī bazm ne hameñ baḳhshī
ḳhalā-e-zehn meñ gūñjī hai ik sadā ban kar
jo tū ne mujh ko ġham-e-lā-zavāl baḳhshā thā
vo zindagī meñ rahā merā rahnumā ban kar
vo jin ke lams se tū khil ke phuul bantā thā
vo ab bhaTakte haiñ dar par tire sabā ban kar
jab un kī bazm se lauTe to ḳhud ko pahchānā
vahāñ se aa.e ham 'āzād' kyā se kyā ban kar
Top Urdushayar.com