Azad Gulati

phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935

phir is ke ba.ad koī na ho guzar mujh meñ

kabhī to ek pal ai dost yuuñ Thahar mujh meñ

jo ḳhud meñ jhāñkūñ to sannāTe sansanāte haiñ

koī to kar gayā hai raat yuuñ basar mujh meñ

bhaTaktā phirtā huuñ sunsān rahguzāroñ par

basā huā hai kisī yaad nagar mujh meñ

ajab nahīñ ka.ī motī bhī tere haath lageñ

zarā le kaam himmat se aur utar mujh meñ

maiñ terī zaat saayā huuñ tere andar huuñ

mirī talāsh sar-e-rah-guzar na kar mujh meñ

Top Urdushayar.com