umr bhar chalte rahe ham vaqt kī talvār par
parvarish paa.ī hai apne ḳhuun hī kī dhaar par
chāhne vaale kī ik ġhalatī se barham ho gayā
faḳhr thā kitnā use ḳhud pyaar ke me.aar par
raat gahrī merī tanhā.ī kā sāgar aur phir
terī yādoñ ke sulagte diip har mañjdhār par
shaam aa.ī aur sab shāḳhoñ kī galiyāñ so ga.iiñ
maut kā saayā sā mañDlāne lagā ashjār par
ḳhalvat-e-shab meñ ye aksar sochtā kyuuñ huuñ ki chāñd
nuur kā bosa hai goyā raat ke ruḳhsār par
sāl-e-nau aatā hai to mahfūz kar letā huuñ maiñ
kuchh purāne se calender zehn kī dīvār par
zindagī āzād pahle yuuñ kabhī tanhā na thī
aadmī bahtā thā yūñhī vaqt kī raftār par