Azad Gulati

mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
merā to naam ret ke sāgar pe naqsh hai
phir kis kā naam hai jo tire dar pe naqsh hai
pheñkā thā ham pe jo kabhī us ko uThā ke dekh
jo kuchh lahū meñ thā usī patthar pe naqsh hai
shāyad idhar se guzrā hai ik baar tū kabhī
terī nazar kā lams jo manzar pe naqsh hai
terā ḳhayāl mujh se go mil kar bichhaḌ gayā
us kī mahak kā aks mire ghar pe naqsh hai
mere ḳhatoñ ko rakh ke sirhāne vo so gayā
jaagā to mere jism kā bistar pe naqsh hai
ab is meñ jo bhī Dāliye amrit se kam nahīñ
jo in laboñ pe thā vahī sāġhar pe naqsh hai
jo zaḳhm ik nazar se milā thā vo bhar gayā
dhuñdlā sā daaġh ruuh ke paikar pe naqsh hai
ḳhanjar chalā thā mujh pe magar mo.ajaza hai ye
qātil kā apnā ḳhuun hī ḳhanjar pe naqsh hai
'āzād' kaun thā jo tahoñ meñ utar gayā
kis kī hayāt hai jo samundar pe naqsh hai
Top Urdushayar.com