Shauq Bijnori

sanam ke sanam the patthar hamari tab-e-nazar se pahle

Shauq Bijnori

sanam ke sanam the patthar hamārī tāb-e-nazar se pahle
jabīñ meñ sajde taḌap rahe the na jaane kyuuñ sañg-e-dar se pahle
tū rāhzan to nahīñ hai pūchhūñ maiñ kis tarah ham-safar se pahle
savāl aisā kiyā nahīñ hai kisī ne bhī rāhbar se pahle
ajiib rāh-e-adam hai par ḳhatm har ek raahī ko hai yahī ġham
ye raaz khultā nahīñ kisī par jahāñ meñ azm-e-safar se pahle
ye tiir aisā lagā hai dil par ki dil maza us kā jāntā hai
maiñ lazzat-e-ġham se be-ḳhabar thā tumhārī tirchhī nazar se pahle
ye aarzū hai rahe vo qaa.em ki chārasāzī kā ab nahīñ ġham
ḳhalish jo mahsūs kar rahā thā jigar maiñ dard-e-jigar se pahle
ye aadmī hī binā-e-shar hai jo apnī hastī se be-ḳhabar hai
gunāh kā naam tak kahāñ thā vajūd-e-nau-e-bashar se pahle
maiñ zulmatoñ meñ bhī dekhtā thā siyāh-baḳhtī kā apnī aalam
mirī nazar-e-motabar kahāñ thī drūd-e-shms-o-qamar se pahle
Top Urdushayar.com