Shauq Bijnori

bhule se kabhi meri jaanib jab unki nazar ho jati hai

Shauq Bijnori

bhūle se kabhī merī jānib jab un kī nazar ho jaatī hai
hañgāme bapā ho jaate haiñ aalam ko ḳhabar ho jaatī hai
merī shab-e-furqat kī zulmat marhūn-e-tajallī ho na sakī
hogī vo kisī ke vasl kī shab jis shab kī sahar ho jaatī hai
kuchh din aise bhī aate haiñ kaaTe se nahīñ jo kaTte haiñ
kuchh aisī bhī rāteñ aatī haiñ bātoñ meñ sahar ho jaatī hai
shamshād khaḌā muñh taktā hai hairānī-e-nargis kyā kahiye
gulzār meñ jab vo aatā hai us gul ko nazar ho jaatī hai
e.ajāz-e-tajallī to dekho vo sāmne jab aa jaate haiñ
betābī-e-dil baḌh jaatī hai taskīn-e-jigar ho jaatī hai
maiḳhāne meñ sab kuchh miltā hai ye shaiḳh-o-barahman kyā jāneñ
yuuñ dair-o-haram ke jhagḌoñ meñ ik umr basar ho jaatī hai
vo shauq bharī nazreñ uTh kar ik hashr bapā kar detī haiñ
duniyā-e-mohabbat kī har shai tab zer-o-zabar ho jaatī hai
jab shauq kī āñkhoñ meñ raqsāñ kaunain ke jalve hote haiñ
manzil vahīñ ḳhud khiñch aatī hai takmīl-e-safar ho jaatī hai
Top Urdushayar.com