Shauq Bijnori

ruKH-e-raushan ko be-naqab na kar

Shauq Bijnori

ruḳh-e-raushan ko be-naqāb na kar
dil kī duniyā meñ inqalāb na kar
aa.ina rakh na sāmne us ke
husn ḳhud-bīñ ko lā-javāb na kar
chār-sū jalva-gar tū hī tū hai
ā.ina-ḳhāna meñ hijāb na kar
mere naġhmoñ meñ kaif-e-ġham bhar de
mujh ko minnat-kash-e-rabāb na kar
merī aḳhtar-shumāriyāñ mat pūchh
apne va.adoñ kā kuchh hisāb na kar
baḳht-dāzoñ ko ro rahā huuñ maiñ
ġham-zada par falak azaab na kar
rāh-e-pur-ḳhār hai abhī dar-pesh
ābloñ kā abhī hisāb na kar
'shauq' hai terā muntazir kab se
ab to sūrat dikhā hijāb na kar
Top Urdushayar.com