hosh saaqī ko na ḳhum kā hai na paimāne kā
is tarah haal ye abtar huā maiḳhāne kā
shiddat-e-ġham se nikal hī paḌe āḳhir aañsū
sham.a se soz na dekhā gayā parvāne kā
jāñ-ba-haq ho gayā hotā ye kabhī kā bīmār
gar yaqīñ hotā na us shoḳh ke aa jaane kā
dair bantā hai haram aur haram dair kabhī
ka.aba kahte haiñ jise naam hai but-ḳhāne kā
tauq-o-zanjīr meñ bāñdhe na bañdhegā hargiz
baḌh gayā aur junūñ gar tire dīvāne kā
vo pas-e-marg ab aa.e haiñ ayādat ko mirī
jabki duniyā meñ hai shohrā mire mar jaane kā
kis qadar 'shauq' hasīnoñ ke khiñche haiñ naqshe
dil ke har zarra meñ aalam hai parī-ḳhāne kā