kis ko hai husn-e-ḳhudā-dād kā da.avā dekheñ
kis kā chehra nahīñ minnat-kash-e-ġhāza dekheñ
jo muqaddar hai vo anjām-e-tamannā dekheñ
dil-e-vahshat-zada chal aaj use jā dekheñ
dil ye kahtā hai ki husn us kā jahāñ-tāb bhī ho
aur phir ye bhī hai ki ham hī use tanhā dekheñ
aao kuchh jashn-e-shahādat hī meñ shirkat ho jaa.e
apnī khiḌkī hī se maqtal kā nazāra dekheñ
kaun mañjdhār meñ jaa.e sar-e-sāhil baiTheñ
duur se Dūbne vāloñ kā tamāshā dekheñ
ab bhī hotā hai vahāñ zikr hamārā ki nahīñ
aalam us bazm kā ab kyā hai zarā jā dekheñ