sher kahne kā maza hai ab to
dil kā har zaḳhm harā hai ab to
itnā be-sarfa na thā dil kā lahū
baaġh dāman pe khilā hai ab to
bujh hī jaa.e na kahīñ dil kā charāġh
vāqa.ī tund havā hai ab to
zindagī zindagī hotī thī kabhī
mar na jaane kī sazā hai ab to
thā koī shaḳhs kabhī mahram-e-dil
vo mujhe bhuul chukā hai ab to
ḳhūgar-e-shahr hue dīvāne
chāk-e-dāman bhī siyā hai ab to
dil kā ye haal hamesha to na thā
jaane kyā mujh ko huā hai ab to